Kuch Pasandeeda Ashaar
Khade ho raah mein tanha phir umeed ka bazaar lagaaey
Tumko na sharm aayee Hassan, chale ho daaman phailaaye
Tha zindagi mein marg ka khatka laga hua...
Tha zindagi mein marg ka khatka laga hua
Udne se pehli hi rang zard tha
Zindagi tujhko jiya hai, koi afsos nahi...
Zindagi tujhko jiya Hai koi afsos nahi
Zehar khud maine Piya hai koi afsos nahi
Maine mujrim ko bhi Mujrim na kaha duniya me
Bas yahi zurm kiya Hai koi afsos nahi
Meri kismat me jo Likhe the unhi kanto se
Dil ke zakhmon ko Seeya hai koi afsos nahi
Ab gire sang ke sishon Ki hoon baarish fakir
Ab kafan odh liya Hai koi afsos nahi
Neend Se Aankh Khuli Hain Abhi Dekha Kya Hain
Neend Se Aankh Khuli Hain Abhi Dekha Kya Hain
Dekh Lena Abhi Kuch Der Mein Duniya Kya Hain
Bandh Rakha Hain Kisi Sonch Ne Ghar Say Humko
Warna Apna Dar O Deewar Se Rishta Kya Hain
Ret Ki Eent Ki Pathar Ki Hoon Ya Mitti Ki
Kisi Deewar Ke Saye Ka Barosa Kya Hain
Apni Daanist Mein Samjhay Koi Duniya Shahid
Warna Hatho Mein Lakiro Ke Ilaawa Kya Hain
Jidhar Jaate Hai Sab
Jidhar jaate hai sab, jaana udhar acha nahin lagta
Mujhe pamaal raston ka safar acha nahin lagta
Ghalat baaton ko khamoshi se sunna aur haami bharlena
Bahut hai faide isme magar acha nahin lagta
Mujhe dushman se bhi khudari ki umeed rehti hai
Kisi ka bhi ho sar, khadmon mein sar acha nahin lagta
Bulandi par unhe mitti ki khusbo tak nahin aati
Yeh kaisi shaakhen hai jisko shajar acha nahin lagta
Yeh kyun bakhi rahe, aatish jano yeh bhi jaala daalo
Ke sab beghar ho aur mera ho ghar acha nahin lagta
Layee Hayat Aaye
Layee hayaat aaye khaza Le chali chale
Apni Khushi aaye na apni khusi chale
Behtar to hai yehin ke na duniya se dil lage
Par kya kare Jo kaam na bedillagi chale
Duniya ne kiska rahe fana mein diya hai saath
Tim bhi chale Chalo yunhi jabtak chali chale
Jaate hawae shaukh mein hain is chaman se Zaukh
Apni bala se bade saba ab kabhi chale
Tum Bhi Ley Jao
Tum bhi ley jao chalo, ab Kya Gila Karen
Bacha ki Kya hai Jo shikway-e-sila Karen
Jo khojata hai milkar zindagi mein
Ghazal hai naam uska shayari mein
***********************************
Nikal aate hain aansun haste haste
Yeh kis gham ki mahak hai har khushi mein
***********************************
Ae mere dil kisi se bhi shikwa na kar, ab bulandi pe tera sitara nahin
Gair ka zikr kya gair phir gair hai, jo hamara tha who bhi hamara nahin
***********************************
Aaina bhi unpe shehda ho gaya
Lo ek dushman aur paida ho gaya
***********************************
Subah ko jisne hasee hoton pe sajaye hai
Raat bhar usko kisi gham ne rulaya hoga
***********************************
Hass ke hum baat jo karlete hain unse Khusheed
Haal apna bhi who samajh lete hain achha hoga
***********************************
Zindagi ka woh kuch bhi lutf utha nahin sakte
Intaha-e-gham mein jo muskura nahin sakte
***********************************
Kitaabon Say Daleelein Doon, Ya Khud Ko Saamnay Rakh Doon
Woh Mujhse Pooch Bethay Hain Muhabbat Kis Ko Kehtay Hain
***********************************
Main Khud Hi Apni Talaash Mein Hoon
Main khud hi apni talaash mein hoon, mera koi rehnuma nahin hai
Woh kya dikhayenge raah mujhko, jinhe khud apna pata nahin hai
Bahot dino se main sun raha tha, sazaa wo deten hai har khata ki
Mujhe to iski sazaa mili hai, ke meri koi khata nahin hai
Dil aaina hai tum apni surat sawarlo aur khud ki dekho
Jo nuks hoga dikaayi dega, yeh bezubaan bolta nahin hai
Yeh aap nazre bacha bacha kar, bagaur kya dekhte hain mujhko
Tumhare kaam aasake to leelo, hamaare yeh kaam ka nahin hai
Masarrathon ki talaash mein hun magar yeh dil jaanta nahin hai
Agar ghame zindagi nahin hai to zindagi mein mazaa nahin hai
Muskarao
Muskarao Ke zindagi laute, raet ki tahe pe nami laute
Hoton pe jam gaye hai sannate, kuch kiya jaaye ke hasee laute
Sar Jispe Na Jhukjaye
Sar jispe na jhukjaye, usey dar nahin kehte
Har dar pe jo jhukjaye, usey sar nahin khete
Kaabe mein musalman ko kehdete hain kafir
Buthkhane mein kafir ko bhi kafir nahin kehte
Kaabe hi mein har sajde ko kehte hain ibaadat
Maikhane mein har jaam ko saagar nahin kehte
Meri Zubaan Se
Meri zuban se meri dastan suno to sahi
Yakin karo na karo meharbaan suno to sahi
Chalo ye maan liya mujrim-e-mohabbat hain
Humare jurm ka humse bayaan suno to sahi
Khizaan-naseeb tamanna sawaal karti hai
Jawaab do na do meharbaan suno to sahi
Kahoge waqt ko mujrim bhari bahaaron mein
Jalaa tha kaise mera aashiyaan suno to sahi
Banoge dost mere tum bhi dushmanon ek din
Meri hayaat ki aah-o-fugaan suno to sahi
Labon ko see ke jo baithe hain bazm-e-duniya mein
Kabhi to unki bhi khamoshiyaan sunao to sahi
Sadma To Hai Mujhe Bhi
Sadma to hai mujhe bhi ke tujh se juda hun main
Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hun main
Bikra pada hai tere hi ghar mein tera wajood
Bekaar mehfilon mein tujhe doondtha hun main
Kya jaane kis ada se liya tune mera naam
Duniya samajh rahi hai tera sub kuch hun main
Le mere tajrubaon se sabakh aye mere rakheeb
Do char saal umr mein tujhse bada hun main
Kis kis na naam laon zabaan par ke tere saath
Har roz ek shaksh naya dekhta hun main
Jaga hua zameer woh aaina hai qateel
Sone se pehle roz jise dekhta hun main
Mujhko rahe hayaat mein
Mujhko rahe hayaat mein lutne ka dar nahin
Mein woh charaagh hun jise khaufe sahar nahin
Shayad hai ek aur falak zere aasmaan
Main janta hun meri dua beasar nahin
Khanjar chale hain dil pe sitam ke kai hazaar
Lekin lahun se aastee koi bhi tar nahin
Dekha tha usne mujhko shama dekhne ke baad
Phir uske baad kya hua mujhko khabar nahin
Hum Dosti Ehsaan Wafa
Hum dosti ehsaan wafa, bhool gayen hai
Zinda to hain jeene ki ada, bhool gayen hai
Khushboo jo lutati hai masal te hain usi ko
Ehsaan ka badla yehi milta hai Kali ko
Ehsaan to lete hain, sila bhool gayen hai
Karte hain mohabbat ka aur ehsaan ka sauda
Matlab ke liye karte hain imaan ka sauda
Dar maut ka aur khaufe khuda, bhool gayen hai
Ab mooum ke ghar par koi pathar nahin hota
Ab koi bhi khurbaan kisi par nahin hota
Tere qadmon pe sar hoga
Tere qadmon pe sar hoga, khazaa sar ke khadi hogi
Phir us sajde ka kya kehna, anookhi bandagi hogi
Naseem-e-subah gulshan mein khelti hogi
Kisi ki aakhri hitchki, kisi ki dillagi hogi
Dikha Dunga sare mehfil, bata dunga sare mehshar
Woh mere dil mein honge, aur duniya dekhti hogi
Mazaa aajayega mehshar mein phir sunne sunnaneka
Zubaan hogi wahaan meri, kahaani aap ki hogi
Tumhe danista mehfil mein jo dekha hun to mujrim hun
Nazar aakhir nazar hai, beiraada utth gayee hogi
Ek Bas Tu Hi Nahin Mujse Khafa Ho Baitha
Maine Jo Sang Tarasha Woh Khuda Ho Baitha
***********************************
Zindagi Kat Gaye Manate Hue
Ab Irada Hai Root Jane Ka
***********************************
Aap Shehzad Ki Na Fikr Karen
Wohto Aadi Hai Zakhm Khane Ka
***********************************
Shar dar shaher liye phirta hun tanhayee ko
Kaun sa naam do main teri shanasayee ko
***********************************
Jis taraf jaaiye hai khokle lafzon ka hujoom
Kaun samjhe yahan awaaz ki ghehraye ko
***********************************
Muddaton hum ne ghum uthaye hain
Tab kahin jaake muskuraye hain
***********************************
Ek nigah-e-khuloos ki khatir
Zindagi bhar fareb khaye hain
***********************************
Zara Si Zindagi Hai Armaan Bahut Hain,
Hamdard Nahi Koi Insaan Bahut Hain,
Dil Ka Dard Sunaye To Sunaye KisKo,
Jo Dil Ke kareeb Hain Wo Anjan Bahut Hain.
***********************************
Phir le aayee hai zindagi wahi par
Phir wohi aag lagi hai kahin par
***********************************
Ek baat thi, jo baat na hoone se na ho payee
Ek baat hai, jo baat hokar bhi na ho payee
***********************************
Reth par Kisi ko Naam likthe dekha to khayal aaya
Tere naam ke khazane ko Yun hum Na luta yenge
***********************************
Kisi umeed pe guzaar de koi chaah pe waar de
Ek zindagi hi to hai, kisi aur ki sanwaar de
***********************************
Mohabbat bhi karlete, dil ki baat bhi kehlete
Kismet ko gawara hota, to hum bhi jee lete
***********************************
Aaj kyun ginte ho meri khataon ko
Aason piyen koi kitne unhen baaton to
***********************************
Yeh inayaten ghazab ki, yeh balaa ki meharbani
Meri khairiyat bhi puchi, kisi aur ki zubaani
***********************************
Talash-e-manzil-e-jaana ek bahana tha
Tamaam umr mein apni taraf rawana tha
***********************************
Main usko hashr mein kis naam se sadaa deta
Ke mera uska taaruf to ghayabaana tha
***********************************
Zindagi ka woh kuch bhi lutf utha nahin sakte
Intaha E gham mein jo muskura nahin sakte
***********************************
Tabiyat in dino beganaey ghum hoti jaati hai
Mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai
***********************************
Ab to Marne ki dua karne se bhi darta hun
Jaun kaha ke usko bhi muh dikhane darta hun
***********************************
Ab to Marne ki dua karte bhi darta hun
Jaun kaise jo muh dikhane se darta hun
Kitni palkon ki nami maang ke laaye hogi
Kitni palkon ki nami maang ke laaye hogi
Pyaas tab phool ki shabnam ne bujhai hogi
Ek sitara jo gira toot ke uchai se
Kisi zarre ki hasi usne udaayi hogi
Aandhiyan hai ki machalti hai chali aati hain
Kisi muflis ne kahin shamma jalaye hogi
Maine kuchh tumse kaha ho to zabaan jal jaye
Kisi dushman ne yeh afwah udaayi hogi
Hum to aahat ke bharose pe sahar tak pahunche
Raat bhar aapko bhi neend na aaye hogi
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya
Yun to har shaam umeedon mein guzar jati thi
Aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aaya
Kya haseen khaab dikhaya tha mohabbat ne hame
Khul gayi aankh to tabeer pe rona aaya
Jab hua zikr zamaane mein mohabbat ka shakeel
Mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aaya
Raha yun hi na mukammil ghame ishq ka fasana
Raha yun hi na mukammil ghame ishq ka fasana
Kabhi mujh ko neend aayee kabhi so gaya zamaana
Ye aadayen behki behki nigahen shayaraana
Ke jahan bhi tumne chaha wahin ruk gaya zamaana
Meri zindagi tera ghum, tera ghum aate ye aalam
Mere saath sirf tu hai, tere saath hai zamaana
Meri zindagi hai Iqbal inhi doono manzilon mein
Kabhi has ke aah karna, kabhi ro ke muskurana
Ba khuda ab to muhje koi bhi tamanna hi nahin
Ba khuda ab to muhje koi bhi tamanna hi nahin
Phir yeh kya baat hai yeh dil kahin lagta hi nahin
Sirf chehre ki udaasi se nikal aaye aansu
Dil ka aalam to abhi aapne dekha hi nahin
Woh karam karte hain ya humpe sitam karte hain
Is nazar se unhe hamne kabhi dekha hi nahin
Dost ko dost samajh na to hai ek baat shameem
Hamne dushman ko bhi dushman kabhi samjhaa hi nahin
Zinda rahen to kya hai jo marjayen hum to kya
Zinda rahen to kya hai jo marjayen hum to kya
Duniya se khamoshi se guzar jayen hum to kya
Hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne
Ek khwab hai jahaan mein bikhar jayen hum to kya
Ab kaun muntazir hai hamare liye wahaan
Shaam aagayi hai laut ke ghar jayen to kya
Dil ki khalish to saath rahegi tamaam umr
Daryaye gham ke paar utar jayen hum to kya
Aaj socha tho aansu bhar aaye
Aaj socha tho aansu bhar aaye
Muddatein ho gayi muskuraaye
Har kadam par udhar mud ke dekha
Unki mehfil se hum utth to aayee
Rah gayi zindagi dard banke
Dard dil mein chupaye chupaye
Dil Ki nazuk rage tooti hain
Yaad itna bhi koi na aayee